kashti-e-gham ka nakhuda na raha koi hamdard ham-nawa na raha jam-o-saghar wo mai-kada na raha ba'd tere wo silsila na raha ho ke mera jo tu mera na raha phir kisi se mujhe gila na raha yun gaya ruth kar koi mujh se phir manane ka hausla na raha kya khizan se rakhen adawat hum jab bahaaron se wasta na raha tujh se takra ke ai gham-e-jaanan yaad koi bhi hadisa na raha ladkhadata hai dam jo sine mein ye bhi kal tak raha raha na raha