kashtiyan manjdhaar mein hain nakhuda koi nahin apni himmat ke alawa aasra koi nahin manzilon ki justuju mein aa gae us mod par ab jahan se lautne ka rasta koi nahin hum ne puchha khud ke jaisa kya kabhi dekha kahin muskura kar us ne hum se kah diya koi nahin zindagi ke is safar mein tajraba hum ko hua sath sab hain par kabhi pahchanta koi nahin rafta rafta umr sari kat gai apni yahan hum ko lekin shahr bhar mein jaanta koi nahin