kat raha hun ek ek din aazar ke sath jaise raat guzarti hai bimar ke sath shohrat tanha tai karti hai raste ko ud kar phul nahin jata mahkar ke sath hijr ka mausam le kar suraj nikla hai barf lipat kar roti hai kohsar ke sath ghar ki har shai teri yaad dilati hai dhyan mein chidiya aa jae chahkar ke sath ek hi jhonka bikhra dega patton ko kab tak mil kar baithenge diwar ke sath waqt ne likh kar kat diye hain un ke nam jin ka sikka chalta tha talwar ke sath 'khawar' kya kya shaklen banti rahti hain tanhai mein yaadon ki parkar ke sath