kaun aaega yahan koi na aaya hoga mera darwaza hawaon ne hilaya hoga dil-e-nadan na dhadak ai dil-e-nadan na dhadak koi khat le ke padosi ke ghar aaya hoga is gulistan ki yahi rit hai ai shakh-e-gul tu ne jis phul ko pala wo paraya hoga dil ki qismat hi mein likkha tha andhera shayad warna masjid ka diya kis ne bujhaya hoga gul se lipti hui titli ko gira kar dekho aandhiyo tum ne darakhton ko giraya hoga khelne ke liye bachche nikal aae honge chand ab us ki gali mein utar aaya hoga 'kaif' pardes mein mat yaad karo apna makan ab ke barish ne use tod giraya hoga