kaun batlae ki kis ko kya mila

kaun batlae ki kis ko kya mila
jis ki qismat mein jo likkha tha mila

tark mai-noshi to main ne ki magar
ye bata zahid ki tujh ko kya mila

mar-miti duniya khushi ke nam par
gham na koi chahne wala mila

fikr mein andaz mein aawaz mein
har bashar apni jagah tanha mila

ab nahin be-laus milne ka riwaj
jo mila wo apne matlab ka mila

simti simti har khushi aai nazar
bikhra bikhra gham ka shiraaza mila

bankpan shayad isi ka nam hai
husn rangini mein bhi sada mila

sehn-e-gulshan mein wo kahlae gulab
khun jin phulon ko shabnam ka mila

apna mazi yaad aaya hai 'laiq'
zakhm dil ko jab koi taza mila


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close