kaun gulshan mein rahe nargis-e-hairan ki tarah aao chamka den use mehr-e-darakhshan ki tarah umr bhar ra-nawardi ka raha hum ko junun khar-zaron se bhi guzre hain gulistan ki tarah tar baqi hain jo do-chaar gareban mein mere tut jaen na kahin tar-e-rag-e-jaan ki tarah log kahte hain ki ho bagh mein lekin hum ko yan ki har shai nazar aati hai bayaban ki tarah zindagi nam hai mar mar ke jiye jaane ka dur hi hum se raho chashma-e-haiwan ki tarah hum ko bhata hai chaman dil se magar kya kije is mein aaram nahin gosha-e-zindan ki tarah dal galti nahin basti mein hamari 'arshi' aao virane hi mein baith len insan ki tarah