kaun kahta hai tere dil mein utar jaunga main to lamha hun tujhe chhu ke guzar jaunga shab ke chehre mein koi rang to bhar jaunga chal pada hun to main ab ta-ba-sahar jaunga aasmanon ki safen kat ke pahuncha tha yahan ab teri aankh se tuta to kidhar jaunga apni nazron ka koi daera ban ke mere gird warna in tez hawaon mein bikhar jaunga