kaun ye aag liye roz yahan aata hai sans leta hun to andar se dhuan aata hai hum ne to pyas bujhani hai faqat ashkon se dasht-e-hijran se kahan aab-e-rawan aata hai ye bhi kafi hai ki wo yaad to karta hai mujhe koi milne ko bhala roz kahan aata hai hijr ek aisa ilaqa hai ki jis se aage girya-e-dil ke liye shahr-e-ziyan aata hai main tere jaane se naraaz nahin hun ai dost ped jhad jate hain jab daur-e-khizan aata hai kaun si rah pe tu chhod gaya hai mujh ko khatm hota hai safar aur na makan aata hai is jagah kaise koi khwab-e-mohabbat dekhe raat ke waqt jahan shor-e-sagan aata hai ye zamin is liye aabaad hai 'khalid-sajjad' ek dar hai ki jahan sara jahan aata hai