Khaali nahin hai koi yahan par azab se

khali nahin hai koi yahan par azab se
duniya se mil ke dekh le apne hisab se

us din andheri galiyon mein hoga tulu-e-din
jis roz dhup chhinoge tum aaftab se

pi lun zara si aag takhayyul undel kar
kuchh dhup chhanna hai ghazal ke naqab se

khushbu ne teri rang-e-kasafat uda diya
rahat mili hawa ko zara is azab se

dil todne ka khel nahin tum pe hi tamam
hum bhi chukaenge ye udhaari hisab se

insan se daur-e-nau ne murawwat bhi chhin li
barish ne sar-waraq bhi utara kitab se

dil ka shajar hara tha to patjhad ka gham na tha
ujda hai dil to kaun bachae azab se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close