khaDe hain der se ahbab dekhne ke liye

khade hain der se ahbab dekhne ke liye
mera safina tah-e-ab dekhne ke liye

khuli jo aankh to hum dubte nazar aae
gae the dur se girdab dekhne ke liye

abas pareshan hain tabir ki tag-o-dau mein
mili hai nind hamein khwab dekhne ke liye

taras rahi hai mere dasht ki faza kab se
kisi darakht ko shadab dekhne ke liye

udan bharne lage hain tuyur-o-tayyare
qarib-o-dur se sailab dekhne ke liye

suna hai main ne hawaen bhi be-qarar hain ab
mere diye ko zafar-yab dekhne ke liye

nazar jhukae khadi hain aqidaten 'alam'
shikast-e-gumbad-o-mehrab dekhne ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close