khafi raha ya jali aalam-e-shuhud mein tha main amr-e-kun se bhi pahle kisi wajud mein tha kisi sada ne barangekhta kiya mujh ko wagarna main bhi isi halqa-e-khumud mein tha mujhe shuur diya beasat-e-payambar ne phir is ke baad main allah ke junud mein tha mujhe husain ne zarre se mahtab kiya main be-nishan tamasha-e-hast-o-bud mein tha na jidd-o-jahd-e-musalsal ne soz-o-saz-e-hayat misal-e-shajr zamin-bos main jumud mein tha andheri raat mein nudrat mili sitare ko tamam roz wo duba hua kabud mein tha talash-e-manzil-e-hasti mein khak-bazi ki mera maqam magar qila-e-umud mein tha mujhe qayam ke qabil kiya irade ne main ek umr talak haalat-e-quud mein tha wo karr-o-far-e-takhayyul ke nashiran to the magar har ek numaish mein ya numud mein tha main madd-o-jazr-e-takhayyul ko us ke nam karun ki jis ka zikr hamesha mere darud mein tha wo takht-e-khak pe baitha wahi qalandar hai ki jis ke samne jibril bhi sujud mein tha mata-e-qafila-e-ishq jab luti 'naqqash' wo mere mulk-e-sitam-kesh ki hudud mein tha