khak jina hai agar maut se darna hai yahi hawas-e-zist ho is darja to marna hai yahi qulzum-e-ishq mein hain nafa o salamat donon is mein dube bhi to kya par utarna hai yahi qaid-e-gesu se bhala kaun rahega aazad teri zulfon ka jo shanon pe bikharna hai yahi ai ajal tujh se bhi kya khak rahegi ummid wada kar ke jo tera roz mukarna hai yahi aur kis waza ke juya hain urusan-e-bahisht hain kafan surkh shahidon ka sanwarna hai yahi had hai pasti ki ki pasti ko bulandi jaana ab bhi ehsas ho is ka to ubharna hai yahi tujh se kya subh talak sath nibhega ai umr shab-e-furqat ki jo ghadiyon ka guzarna hai yahi ho na mayus ki hai fath ki taqrib shikast qalb-e-momin ka meri jaan nikharna hai yahi naqd-e-jaan nazr karo sochte kya ho 'jauhar' kaam karne ka yahi hai tumhein karna hai yahi