khak se khwab talak ek si virani hai mere andar mere bahar ki bayabani hai koi manzar kahin maujud hai pas-manzar mein warna kya chiz hai jo bais-e-hairani hai kah ke dekhenge ba-har-taur magar pahle bhi dil-e-khud-sar ne koi baat kahan mani hai kise malum hai rukna ki guzar jaana hai sham hai thahri hui bahta hua pani hai dekh ye dil jo kabhi had se guzar jata tha dekh dariya mein koi shor na tughyani hai