khala ke dasht mein ye turfa majra bhi hai wo aasman jo sar par tha zer-e-pa bhi hai hawa ke dosh pe ek surmai lakir ke sath meri talash mein shayad meri sada bhi hai dara hun yun kabhi tanhaiyon ki aahat se ki jaise mujh mein koi shai mere siwa bhi hai bahut aziz hai mujh ko ye barg-e-nau jis mein zamin ka husn bhi hai shokhi-e-saba bhi hai meri jafa-talabi ka khayal hai us ko wagarna pyar ka andaz dusra bhi hai rag-e-hayat mein raqsan meri tawanai main kaise man lun mere liye fana bhi hai