KHalwat-e-jaan se chali baat zaban tak pahunchi

khalwat-e-jaan se chali baat zaban tak pahunchi
koi chingari angethi se dhuan tak pahunchi

raaz o asrar ke khulne ki tawaqqo thi kise
ek kahani thi kisi tarah bayan tak pahunchi

rah-guzar ka hai taqaza ki abhi aur chalo
ek ummid jo manzil ke nishan tak pahunchi

bais-e-rahat-o-gham lutf-e-karam tha warna
jitni khwahish thi faqat sud o ziyan tak pahunchi

tu ne parda na hataya mujhe taskin na hui
bandagi haar ke phir ku-e-butan tak pahunchi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close