khamosh hun main lab pe shikayat to nahin hai fariyaad karun ye meri aadat to nahin hai jo mauj-e-gham-o-dard uthi hai mere dil mein hangama to be-shak hai qayamat to nahin hai shayad mujhe mil jae mere dard ka darman ummid sahi chain ki haalat to nahin hai fursat mein mujhe yaad bhi kar lijiye ek din ye arz mohabbat ki alamat to nahin hai mil jae sar-e-rah kisi mod pe koi ek hadsa be-shak hai rifaqat to nahin hai insaf jise haq ka taraf-dar kahen sab is mulk mein qaem wo adalat to nahin hai kyun ghar se nikalte hue darte hain yahan log is shahr mein qanun-e-hifazat to nahin hai allah raza par teri raazi hi rahungi ho shikwa zaban par ye jasarat to nahin hai aabaad raha dil mein wahi ek 'sabila' ab ghair ko aane ki ijazat to nahin hai