khana-e-dil ki tarah sari faza hai ki nahin kis ko malum ki bahar bhi hawa hai ki nahin jashn barpa to hua tha dam-e-rukhsat lekin wahi hangama mere baad bapa hai ki nahin puchhta hai ye har ek khar-e-sar-e-dasht-e-junun aane wala bhi koi aabla-pa hai ki nahin dekh to ja ke masiha-e-gham-e-ishq use hath ab tak yunhi sine pe dhara hai ki nahin dil ke tarik dar-o-baam se aksar tera gham puchhta hai ki koi mere siwa hai ki nahin main kahin hun ki nahin hun wo kabhi tha ki na tha tu hi kah de ye sukhan be-sar-o-pa hai ki nahin faisla laut ke jaane ka hai kitna mushkil kis se puchhun wo mujhe bhul chuka hai ki nahin main to waraftagi-e-shauq mein jata hun udhar nahin malum wo aaghosh bhi wa hai ki nahin jaane kya rang chaman ka hai dam-e-subh-e-firaq gul khile hain ki nahin baad-e-saba hai ki nahin ai shab-e-hijr zara der ko bahle to ye dil dekh 'irfan' kahin naghma-sara hai ki nahin