kharab-haal wafa ko rulae jate hain nazar churae hue muskurae jate hain wafa-shiar sahi ghair mujh se kyon kahiye ye roz kis liye qisse sunae jate hain wafa ki qadar teri anjuman mein kyon hoti fareb-e-ghair ke naqshe jamae jate hain tum apne husn pe nazan ho aur ahl-e-nazar dil-e-kharab ki qimat badhae jate hain kise khabar hai ki anjam-e-arzu kya ho nasib-e-ishq-o-wafa aazmae jate hain kabhi to ishq-o-hawas mein bhi chahiye ye tamiz isi ummid pe sadme uthae jate hain khiram-e-naz ki hashr-afriniyan tauba qadam qadam pe qayamat uthae jate hain ab un ki yaad ko kyon kar bhulaiye dil se ki resha resha mein wo to samae jate hain suna hai ab to hain 'razmi' bhi baryab-e-jamal us anjuman mein hamesha bulae jate hain