KHat ne aa kar ki hai shayad rahm farmane ki arz

khat ne aa kar ki hai shayad rahm farmane ki arz
tab tu ab sunta hai hans kar mujh se diwane ki arz

sham-e-ghurbat hum se majruhon ki hai fariyaad-ras
zulf ki chhati phati hai sunte hi shane ki arz

bosa-e-lal-e-butan jo le so ho be-abru
itni hi khidmat mein maston ki hai paimane ki arz

gosh-e-gul mein sab phaphule pad gae shabnam ke hath
aag thi bulbul ki fariyaadon ke afsane ki arz

fasl-e-gul aate hi 'uzlat' dil zaban-e-ah se
meri khidmat mein kare hai dasht mein jaane ki arz


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close