khatir kare hai jama wo har bar ek tarah karta hai charkh mujh se nae yar ek tarah main aur qais o kohkan ab jo zaban pe hain mare gae hain sab ye gunahgar ek tarah manzur us ko parde mein hain be-hijabiyan kis se hua do-chaar wo ayyar ek tarah sab tarhen us ki apni nazar mein thin kya kahen par hum bhi ho gae hain giraftar ek tarah ghar us ke ja ke aate hain pamal ho ke hum kariye makan hi ab sar-e-bazar ek tarah gah gul hai gah rang gahe bagh ki hai bu aata nahin nazar wo tarah-dar ek tarah nairang husn-e-dost se kar aankhen aashna mumkin nahin wagarna ho didar ek tarah sau tarah tarah dekh tabibon ne ye kaha sehat pazir hue ye bimar ek tarah so bhi hazar tarah se thaharawte hain hum taskin ke liye teri na-chaar ek tarah bin ji diye ho koi tarah faeda nahin gar hai to ye hai ai jigar afgar ek tarah har tarah tu zalil hi rakhta hai 'mir' ko hota hai aashiqi mein koi khwar ek tarah