KHilaf-e-zulm ghazal bhi hai jang-ju meri

khilaf-e-zulm ghazal bhi hai jang-ju meri
yahi sabab ki ghazal hai lahu lahu meri

jala di ruh meri us pe ye sitam dekho
ghumai ek sadi lash ku-ba-ku meri

han mustafid hue yun zalil bhi mujh se
udhaar le li zalilon ne aabru meri

suna hai aag se wo khauf tak nahin khata
pighalne lagta tha sun kar jo guftugu meri

jinhon ne khun kiya mera be-dareghi se
nikal pade hain wahi karne justuju meri

abas hi darte hain mujh se gulab se chehre
nigah rahti hai har aan ba-wazu meri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close