khinch laya tujhe ehsas-e-tahaffuz mujh tak

khinch laya tujhe ehsas-e-tahaffuz mujh tak
ham-safar hone ka tera bhi irada kab tha

darguzar karti rahi teri khataen barson
mere jazbaat o khayalat tu samjha kab tha

mauj-dar-mauj bhanwar khinch raha tha mujh ko
meri kashti ke liye koi kinara kab tha

zahiran sath wo mere tha magar aankhon se
bad-gumani ke naqabon ko utara kab tha

tujh ko malum nahin apni wafaon ke ewaz
jaan-e-jaan main ne jo chaha tha ziyaada kab tha

do kinaron ko milaya tha faqat lahron ne
hum agar us ke na the wo bhi hamara kab tha

us ne meri hi rifaqat ko banaya mulzim
main agar bhid mein thi wo bhi akela kab tha

wo tera ahd-e-wafa yaad hai ab tak 'mita'
bhul baithi hun mohabbat ka zamana kab tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close