KHizan ka pyas ka mahrumi-e-bahaar ka dukh

khizan ka pyas ka mahrumi-e-bahaar ka dukh
athah ret mein phaila hai regzar ka dukh

darida-tan hun thakan se ki ab to jata raha
qaba-e-chaak-o-gareban-e-tar-tar ka dukh

meri ghazal ki alamat faqat ye do misre
visal-e-yar ka imkan firaq-e-yar ka dukh

adhuri bazi ka itna sa sukh to hai ki mujhe
kisi ki jit ka gham hai na apni haar ka dukh

hai dhadkanon ki jagah dil mein teri yaad ki chap
bajae nind hai aankhon mein intizar ka dukh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close