KHizan ke jaur se waqif koi bahaar na ho

khizan ke jaur se waqif koi bahaar na ho
kisi ka pairahan-e-husn tar-tar na ho

ba-rang-e-sabza-e-begana raund dale falak
mujhe bahaar bhi aae to saz-gar na ho

khizan ke aate hi gulchin ne pher lin aankhen
kisi se koi wafa ka umid-war na ho

thahar thahar dil-e-wahshi bahaar aane de
abhi se bahr-e-khuda itna be-qarar na ho

tapak ke aankhon se aae lahu jo daman tak
to is bahaar se behtar koi bahaar na ho

haya ki baat hai ab tak qafas mein zinda hun
chaman mein jaun to nargis se aankh chaar na ho

bahaar aai hai ghut ghut ke jaan de bulbul
qafas mein nikhat-e-gul ki umid-war na ho

ishaara-e-gul-o-bulbul pe chashmak-e-nargis
ilahi raaz kisi ka bhi aashkar na ho

bichha hai dam-e-tamanna asir ho bulbul
qafas ki yaad mein is tarah be-qarar na ho

asir-e-dam na hona zara sambhal ai dil
khayal-e-gesu-e-pur-kham gale ka bar na ho

jo dekh le mujhe saqi nashili aankhon se
ye mast phir kabhi sharminda-e-khumar na ho

abas hai zikr-e-sharab-e-tahur aur waiz
wo baat kar jo kisi dil ko nagawar na ho

visal jab nahin mumkin to dil pe jabr achchha
wo kya kare jise dil hi par ikhtiyar na ho

wo tir kya jo kisi ko na kar sake bismil
nigah-e-naz wo kya hai jo dil ke par na ho

mizaj-e-yar mukaddar na hone pae 'yas'
buland daman-e-zin kahin se ghubar na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close