khizan ko kaif-e-bahaaran to ho gaya malum magar chaman pe jo guzri hai us ko kya malum talash karta hun muddat se apne aap ko main kahan pe tut gaya kho gaya khuda malum mujhe ye naz ki harf-e-wafa pe qaem hun unhen ghurur ki ulfat ka muddaa malum khayal-o-khwab ki duniya mein bhejne wale bhatak raha hun andhere mein tujh ko kya malum wo log waqt ke dhaare badalte rahte hain jinhen ye waqt ka andaz-o-silsila malum wo ek shakhs jo kanton pe raqs karta tha usi ka khun hai gulshan ki ibtida malum chalo ki aaj usi mah-jabin ki baat karen jise wafa ka saliqa na hai wafa malum udas udas se chehre bujhe bujhe se badan ye kaisi basti mein main aa gaya khuda malum kitab-e-zist mein likkha gaya hai surkhi se gham-e-hayat hai 'sadiq' ka azm-e-na-malum