kho gae yun kar-khane ya kisi daftar mein hum chhuttiyon mein ajnabi lagte hain apne ghar mein hum fasle se dekhne wala hamein samjhega kya pyas ka sahra hain dariyaon ke pas-manzar mein hum raat ko sone se pahle kya karen us ka hisab kitne sayon ka taaqub kar sake din-bhar mein hum bas hamin hum hain jahan tak kaam karti hai nigah ek zarra hain magar phaile hain bahr-o-bar mein hum mukhtalif khakon mein chhinton ki tarah taqsim hain kya ubhar kar samne aaen kisi manzar mein hum dusri jaanib andhera hai to kis ummid par jagti aankhon ko rakh aae shigaf-e-dar mein hum hai ye majburi ki aanch aati hai chaaron samt se warna socha tha jiyenge mom ke paikar mein hum hath jis shai ki taraf lapke wo ghaeb ho gai phans gae 'mahir' ye kis aaseb ke chakkar mein hum