KHud kisi sath pe aane mein baDa waqt laga

By waqar-manviNovember 24, 2020
khud kisi sath pe aane mein bada waqt laga
apni pahchan banane mein bada waqt laga
khwahish-e-did ke izhaar mein bhi der lagi
un ko bhi parda uthane mein bada waqt laga


ghar se hijrat pe nikal jaana tha lamhon ka amal
phir kahin basne basane mein bada waqt laga
taziyat kijiye ab waqt-e-ayaadat to gaya
aap aae magar aane mein bada waqt laga


barq ne phunk diya tha jise aanan-fanan
us nasheman ko banane mein bada waqt laga
saat-e-aish ke arman ka natija malum
gham se daman ko chhudane mein bada waqt laga


kaise haalat ki daldal se nikalte ki 'waqar'
panw bhi hum ko jamane mein bada waqt laga
42315 viewsghazalEnglish