khud ko har aarzu ke us par kar liya hai hum ne ab us ka saya diwar kar liya hai jati thi mere dil se jo tere aastan tak duniya ne us gali mein bazar kar liya hai de dad aa ke bahar shah-e-rag se khun hamara us ne jo apna chehra gulnar kar liya hai bas chashm-e-khun-fishan ko milte nahin hain aansu warna tera murkkab tayyar kar liya hai hai wajh-e-kaj-kulahi tauq-e-gulu hamara zanjir-e-pa ko apni talwar kar liya hai mahsus kar raha hun kharon mein qaid khushbu aankhon ko teri jaanib ek bar kar liya hai is bar wo bhi hum se inkar kar na paya hum ne bhi ab ki us se iqrar kar liya hai