khud ko kisi ki rahguzar kis liye karen tu ham-safar nahin to safar kis liye karen jab tu ne hi nigah mein rakkha nahin hamein ab aur kisi ki ruh mein ghar kis liye karen kyun chhod den na sham se pahle hi tera shahar tujh se bichhad ke raat basar kis liye karen mansub-e-jaan ho aur koi paikar-e-jamal kar sakte hain ye kaam magar kis liye karen kis ke liye charagh jalaen tamam raat 'nasik' phir ehtimam-e-sahar kis liye karen