khud mein hi dubti ubharti hun jaane kis ko talash karti hun dil mein jine ki aarzu le kar main kai bar roz marti hun bhar na jae ye zakhm ai dil mera is liye chhed-chhad karti hun tum yun hi aaina bane rahna main tumhein dekh kar sanwarti hun khamushi mujh ko ras aati hai is liye todne se darti hun bhagti hun wajud se apne aur kabhi khud hi khud pe marti hun kyun yahan hun kahan hai ab jaana khud se aksar sawal karti hun main gurezan hun khud se kuchh aise apne sae se bhi mukarti hun us ki taswir mein 'suman' aksar main wafaon ke rang bharti hun