khuda malum kaisa sehr tha is but ki chitwan mein chale jati hain ab tak chashmaken shaikh-o-barahman mein chhupenge kya asiran-e-bala sahra ke daman mein mohabbat dam ki phir khinch kar laegi gulshan mein hijab uttha zamin se aasman tak chandni chhitki gahan mein chand tha jab tak chhupe baithe the chilman mein kanakhiyon se jo hum ko bazm mein tum dekh lete ho khatak jate hain kante ki tarah ham-chashm-e-dushman mein kanar-e-abju baithe hain mast-e-nikhat-e-saghar nazar su-e-falak aur hath hai mina ki gardan mein gala ghutne laga ab tang aaya hun gareban se junun ne wah kya phansi lagai meri gardan mein bahut dast-e-junun ne gudgudaya jab to kya karte utarin bediyan aur pahne duhre tauq gardan mein batao sair-e-sahra ki koi tadbir wahshi ko gareban mein to hath uljha phansa hai panw daman mein mila de khak mein ai charkh is ujde hue ghar ko ki apni ruh tak bechain hai ab khana-e-tan mein thake-mande safar ke so rahe hain panw phailae ye sab mar mar ke pahunche hain badi mushkil se madfan mein jo har-dam jhankte the rauzan-e-diwar-e-zindan se unhen phir chain aaya kis tarah tarik madfan mein kise malum dagh-e-atishin se dil pe kya guzri sidhaare thande thande saunp kar sab hum ko madfan mein kuja musa kuja maqsud subhanallazi-asra ragad kar ediyan bas rah gae wadi-e-aiman mein hijab-e-naz be-ja 'yas' jis din beach mein aaya usi din se ladai than gai shaikh-o-barahman mein