khuda panah ki nok-e-zaban se upar tak bhara hua hai ye shair fughan se upar tak mazid hansne ka mat kah ki hum pe wajib hai na aaen us ke lagae nishan se upar tak kam-ikhtilat hain lekin hain silsile dil ke zamin se niche talak aasman se upar tak dil-o-dimagh na chahen to mujh qadam ki majal mile hue hain sabhi na-tawan se upar tak hunar hami mein nahin warna yar pahunche hain koi qalam koi zor-e-zaban se upar tak kuen se nikla hun lekin hasin nahin hun main so khud hi jaana padega yahan se upar tak