khula ye aadam-o-iblis ke fasane se

khula ye aadam-o-iblis ke fasane se
ki ye jahan bana hai fareb khane se

badi ajib thin khush-fahmiyan zamane se
ki khush hue the nasheman jalae jaane se

asir ho ke bhi ye raaz aaj tak na khula
qafas ko kaun si nisbat hai aashiyane se

tamam maqsad-e-takhliq khak ho jata
gurez karte agar hum fareb khane se

hum ahl-e-zauq hain hum ko na tok ai naseh
ki aur bhatkenge hum rasta batane se

zara si baat ki hum ne fareb khaya tha
fasana ban gaya ye hashiya chadhane se

jo apne nafs ki izzat ka pas karte hain
shikast wo nahin khate kabhi zamane se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close