khule jo aankh kabhi didani ye manzar hain samundaron ke kinaron pe ret ke ghar hain na koi khidki na darwaza wapsi ke liye makan-e-khwab mein jaane ke saikdon dar hain gulab tahni se tuta zamin par na gira karishme tez hawa ke samajh se bahar hain koi bada hai na chhota sarab sab ka hai sabhi hain pyas ke mare sabhi barabar hain husain-ibn-e-ali karbala ko jate hain magar ye log abhi tak gharon ke andar hain