KHun rulati hai teri hasrat-e-didar mujhe

khun rulati hai teri hasrat-e-didar mujhe
teri furqat ne kiya jaan se bezar mujhe

din ke qabil na raha aur na raha duniya ka
tujh se khud kaam ne aisa kiya be-kar mujhe

ruh kahti hai ki sau jaan se main sadqe hun
dil ke parde mein nazar aaya hai jab yar mujhe

jis ki chitwan ka tu ghayal hai main us ka zakhmi
dekhti kya hai tu ai nargis-e-bimar mujhe

umr aakhir hui afsos badi ghaflat se
dam-e-murdan hi kiya maut ne hoshiyar mujhe

apne hathon se phansa hun main khud hi aafat mein
hirs-e-duniya ne kiya banda-e-afkar mujhe

shaikh-ji jaiye masjid mein nahin jata main
but-e-kafir ne kiya sahib-e-zunnar mujhe

ek jhalak dur se dikhla ke ye chhina kaisa
samne aa ke dikha jalwa-e-rukhsar mujhe

rakh ke taswir-e-sanam dil mein abas kahte ho
shaikh hun main but-e-kafir se sarokar mujhe

zabt-e-girya mujhe lazim hai ki aghyar mein yan
bazm mein khar na kar chashm-e-guhar-bar mujhe

baith kar kucha-e-shah mein ye 'jamila' ne kaha
ghaus kafi hai tera saya-e-diwar mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close