khushi ka lamha ret tha so hath se nikal gaya wo chaudhwin ka chand tha andheri shab mein dhal gaya hai wasf us ke pas ye badal sake har ek shai so mujh ko bhi badal diya aur aap bhi badal gaya machal raha tha dil bahut so dil ki baat man li samajh raha hai na-samajh ki daw us ka chal gaya ye daud bhi ajib si hai faisla ajib-tar ki fateh-e-hayat wo jo gir ke phir sambhal gaya samajh liya aham nahin main us ke waste magar nazar phir us se mil gai ye dil ki phir bahal gaya ajib mera aks tha utar ke us ki aankh mein sanwara mujh ko is tarah ki aaina hi jal gaya