khushi ki baat hai ya dukh ka manzar dekh sakti hun teri aawaz ka chehra main chhu kar dekh sakti hun abhi tere labon pe zikr-e-fasl-e-gul nahin aaya magar ek phul khilte apne andar dekh sakti hun mujhe teri mohabbat ne ajab ek raushni bakhshi main is duniya ko ab pahle se behtar dekh sakti hun kinara dhundne ki chah tak mujh mein nahin hogi main apne ghar mein ek aisa samundar dekh sakti hun visal-o-hijr ab yaksan hain wo manzil hai chahat mein main aankhen band kar ke tujh ko aksar dekh sakti hun abhi tere siwa duniya bhi hai maujud is dil mein main khud ko kis tarah tere barabar dekh sakti hun