khushk palkon ko tere dar pe bhigone aaya ek muddat se jo roya na tha rone aaya jaanta hun ki nikalna hai yahan se mushkil aaj aankhon mein teri khud ko main khone aaya jis ke papon ke liye lakh samundar kam hain ek dariya mein gunahon ko wo dhone aaya zindagi mein jo sukun se na kabhi sota tha odh kar aaj kafan qabr mein sone aaya chhup ke karta hai darakhton ke lahu ka sauda aap ke samne paudon ko jo bone aaya