khwab jab se ek hasina ke nazar aane lage maulwi sahab bhi beauty parlour jaane lage hum ko thi un se mohabbat wo bhi the hum par fida baat sidhi thi magar kuchh log uljhane lage nim ke bute pe wo kya chadh gae ki shaikh ji shiddat-e-jazbaat mein nimboliyan khane lage us ki khatiya kab khadi ho jae kah sakte nahin aashiqi ka jis ke sar par bhut mandrane lage muft ki pi kar kahi thi ek din hum ne ghazal sher uth uth kar chacha ghaalib se takrane lage ba-tarannum hum ne bas matla padha tha bazm mein log jo aae abhi the wo bhi ghar jaane lage yun kisi se kam na the hazir-jawabi mein magar wo hue jab samne 'masrur' haklane lage