khwab kya hai ki tutta hi nahin ek nasha hai ki tutta hi nahin is ne kya kya sitam na tode hain dil mera hai ki tutta hi nahin tutta ja raha hai ek ek khwab silsila hai ki tutta hi nahin rishte nate tamam tut gae sar-phira hai ki tutta hi nahin pau phati ang ang tutta hai aur nasha hai ki tutta hi nahin lahren aa aa ke tut jati hain ek ghada hai ki tutta hi nahin dil ke dariya mein kaisa sang gira daera hai ki tutta hi nahin naw tuti do-nim hai patwar hausla hai ki tutta hi nahin dhaga kachcha sahi magar 'arshad' yun bandha hai ki tutta hi nahin