khwab mein tera aana-jaana pahle bhi tha aaj bhi hai tujh se ek rishta an-jaana pahle bhi tha aaj bhi hai rang badalti is duniya mein sab kuchh badal gaya lekin mere labon par tera fasana pahle bhi tha aaj bhi hai apne dukh-sukh kah lena kabhi hans lena kabhi ro lena tanhai se apna yarana pahle bhi tha aaj bhi hai jis panchhi ki parwazon mein josh-e-junun bhi shamil ho us ki khatir aab-o-dana pahle bhi tha aaj bhi hai rah-e-wafa mein phul nahin hain khar bahut hain 'hasti' ji pyar ka dushman sara zamana pahle bhi tha aaj bhi hai