ki ehtiyat dal ne bahut par kaha gaya chhodi jo un ki rah to dar dar kaha gaya saqi ne mere nam pe saghar patak diya tishna-labi ko mera muqaddar kaha gaya har chashm-e-iltifat ke husn-e-nigah ko aaina-e-khulus ka jauhar kaha gaya ehsas-e-husn-e-zarf se milti hai aabru pani ki ek bund ko gauhar kaha gaya ai subh ki kiran ye khayalat-e-zindagi wo baat kaun thi jise ghar ghar kaha gaya parwaziyon ki sharh nazar tak na kar saki lekin khayal-e-tair-e-be-par kaha gaya nairangiyon ki baat hai ai aariz-e-jamal shoala dahak utha to gul-e-tar kaha gaya 'jumbish' sakun-nawaz-mizaji ko chhodiye khamoshi-e-hayat ko akasr kaha gaya