kinare par samundar dubte hain chalo kuchh aur andar dubte hain use hum rasta kahte hain apna jahan lashkar ke lashkar dubte hain tere shane ko dariya chhu raha hai hamare to yahan sar dubte hain teri ghazlon ko padh kar sochta hun teri aankhon mein manzar dubte hain teri qurbat sabab hai dubne ka kinare par bane ghar dubte hain wahan manzur hum ko tairna hai jahan akasr sukhnawar dubte hain