kis dil se tark-e-lazzat-e-duniya kare koi wo khwab-e-dil-fareb ki dekha kare koi kya sahl hai ki tark-e-tamasha kare koi dil se na ho to aankh se tauba kare koi ghunche ke dil mein kuchh na tha ek aah ke siwa phir kya shaguftagi ki tamanna kare koi aankhen hon jis ke aankhon hi aankhon mein tad le dard apna wo nahin ki tatola kare koi dil muztarib nigah giraftar-e-shash-jahat farmaiye kidhar ka irada kare koi yaadash ba-khair yaad-e-khuda aa hi jati hai apni taraf se lakh bhulaya kare koi is ki nigah-e-shauq ke qurban jaiye tujh aise be-nishan ko jo paida kare koi taat ho ya gunah pas-e-parda khub hai donon ka jab maza hai ki tanha kare koi bande na honge jitne khuda hain khudai mein kis kis khuda ke samne sajda kare koi husn-e-'yagana' aap hi apna hijab hai husn-e-hijab dur se dekha kare koi