kis ki aamad se bahaaran hua maskan maskan aaj gul khilte rahe chaar su gulshan gulshan wo jo uthi thi meri samt uchatti si nigah kar gai rakh sakun ka mere khirman khirman sans hiddat se kiye rakhti hai mujh ko sarshaar kaun paikar mein mere bas gaya dhadkan dhadkan dekhiye us but-e-kafir ke satane ki ada khwab mein dikhta hai to bhi pas-e-chilman-chilman lut kar le gaya mujh se wo mera apna wajud ab to apna sa lage rah ka rahzan rahzan waqt rukhsat bhi nahin aane di aankhon mein nami subh-dam tar tha magar phulon ka daman daman kaise kah dun main nahin muntazir us ki 'resham' tan ki diwar mein do aankhen hain rauzan rauzan