kis se ab ja ke kahen haal-e-pareshan apna

kis se ab ja ke kahen haal-e-pareshan apna
liye phirte hain sabhi chaak gareban apna

juz tere nam ke ubhri na koi aur sada
hum ne chheda jo kabhi tar-e-rag-e-jaan apna

phir use mujh sa koi chahne wala na mila
wo pasheman hai bahut tod ke paiman apna

mere honton ke tabassum se hirasan ho kar
rukh badal leta hai sail-e-gham-e-dauran apna

baghban se kabhi khairaat na mangi hum ne
mausam-e-gul mein bhi khali raha daman apna

kam se kam jhuti tasalli se to mahfuz hain hum
ye bhi achchha hai ki koi nahin pursan apna

apne qadmon pe farishton ko jhuka sakta hai
martaba jaan le 'abid' agar insan apna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close