kis se thandak hai ki ye sab hain jalane wale nale aahon se siwa aag lagane wale baad murdan to hua soz-e-mohabbat paida wo meri qabr pe hain shama jalane wale kothe par chadh ke udaya na karen aap patang dore dalen na kahin yar udane wale kyunki mashuqon ke wadon pe haya karte the bhole-bhaale the bahut agle zamane wale udti chidiyan koi kya pakdega un ke aage achchhe-achchhon ko hain chutki mein udane wale hum jo kahte hain ki marte hain to farmate hain aise dekhe hain bahut jaan se jaane wale le ke dil aankh bhi to hum se milate wo nahin the mere dil ki tarah din bhi ye aane wale