kis taraf hae mere dil mera lashkar chhuta mera kumba mera khema mera ghar bhar chhuta main khada ghurta rahta hun khala mein kya kya koi batlae mujhe kaise wo manzar chhuta likh liya karta tha jo dil pe guzarti thi magar aisi kuchh guzri qalam hath se lag kar chhuta baat karte hain mohabbat ki jahan baste hain log main kahan rahta hun kis des mera ghar chhuta saneha ek nahin sainkadon daftar mein 'zahir' zikr us ka hai jahan dil sa musafir chhuta