kis tawaqqoa pe kya utha rakhiye dil salamat nahin to kya rakhiye likhiye kuchh aur dastan-e-dil aur zamane ko mubtala rakhiye sar mein sauda rahe mohabbat ka panw mein khak ki ana rakhiye bund bhar aab kya muqaddar hai abr rakhiye to kuchh hawa rakhiye is se pahle koi jalane aae aap apna hi ghar jala rakhiye qabl-e-insaf chal basa mulzim ab adalat se kya rawa rakhiye jaan jaani hai jab abas hi 'hamesh' phir to duniya se fasla rakhiye