kise talash karen sharh-e-arzu ke liye

kise talash karen sharh-e-arzu ke liye
zaban-e-haal hi kafi hai guftugu ke liye

wo aur main jo hain duniya-e-rang-o-bu ke liye
kiya hai khalq mujhe apni justuju ke liye

sitam ke ba'd karam ki nigah kya mani
jigar ke zakhm to hote nahin rafu ke liye

niyaz-o-naz ke aain koi kya jaane
teri talash rahi apni justuju ke liye

ada hua na kabhi muddaa-e-dil hum se
wo waqt mil bhi gaya us se guftugu ke liye

gham-e-firaq se wabasta hain kuchh ummiden
liya hai sath ise teri justuju ke liye

mere khayal mein aai hai shamat-e-dil aaj
machal raha hai jo ye tujh se guftugu ke liye

hazar-haif mera dil mita diya tu ne
yahi tha ek tere gham ki aabru ke liye

mile mile na mile wo to us ka gham kya hai
bani hai fitrat-e-ishq us ki justuju ke liye

gham-e-hayat kahan aur mujh sa rind kahan
ye kulfaten hain faqat ek aarzu ke liye

wo aae aur chale bhi gae magar afsos
main sochta hi raha un se guftugu ke liye

teri talash to khamoshiyon mein pinhan hai
ye zahidan-e-zamana hain hao-hu ke liye

sitam-zarifi-e-fitrat nahin to phir kya hai
ki tera ishq hai mujh se farishta-khu ke liye

wafa sarisht mein shamil hai meri ai 'sabir'
main apni zist mita dunga aabru ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close